Back to: Naats Starting With Letter (W)
Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Karne roze ka deedar mein madine jaunga |
Mujko yakeen hai karam karenge aamena bi ke laal Unko to malum hai lillah mere dil ka haal Kehte hein ye dil ke taar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |
Shahe madina rehmate alam nabiyon ke sardar Dekhen kab dikhlayen apna noorani darbar Mein to hun kabse tayyar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |
Dekha nahin unka dare akdas kya hoga anjaam Mere dil ki dhadkan mujko deti hai paygam Marne se pahele ek baar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |
Dekh ke muj aaseen ko unko aa jayega pyar Noorani chadar mein chhupa lenge is dam sarkar Lekar jab ashkon ke haar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |
Kya gham hai ke jakde hue hai doori ki zanjeer Mil jayegi mujko mere khwabon ki taabir Jis din chahenge sarkar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |
Hai aamena mein meem halima mein meem hai Mehraab mein hai meem to mimbar mein meem hai Meenar mein hai meem to masjid mein meem hai Imaan mein hai meem to muslim mein meem hai Milad mein hai meem to mehfil mein meem hai Aheram mein hai meem to zamzam mein meem hai Paygam mein hai meem paygambar mein meem hai Payam mein hai meem payambar mein meem hai Islam mein hai meem to mazhab mein meem hai Namaz mein hai meem to kalme mein meem hai Ahmad mein meem hai to Muhammad mein meem hai Makke mein meem hai to madeene mein meem hai Is meem ka hai raaz Alif Laam Meem mein Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |
Gauso Khwaja Laal kalandar mere sache peer In ki nisbat ka sarmaya hai meri jagir Wo kar denge beda paar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |
Josh masarrat mein aa aa kar kaliyan khilengi dil ki Unka karam jab hoga Aleem to rahon se mushkil ki Gir jayegi har deewar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga |