Back to: Naats Starting With Letter (W)
Wo nabiyon me rahmat laqab pane wala Muraden gharibon ki bar lane wala Museebat me ghairon ke kaam aane wala Wo apne paraye gham khane wala |
Faqiron ka malja zaifaon ka mawa Yatimon ka wali ghulamon ka maula Khatakar se darguzar karne wala Badan desh ke dil me ghar karne wala |
Mafasid ka zer-o-zabar karne wala Qabail ko shir-o-shakar karne wala Utar kar hira se suye qaum aya Aur ek nukhsay-e-kimiya sath laya |
Masaikham ko jisne kundan banaya Khara aur khota alag kar dikhaya Arab jis pe karno se tha juhun chhaya Palat di bas ik aan me unki kaya |
Raha dar na pede ko mauje bala ka Idhar se udhar phir hua rukh hawa ka Wo fakhr arab zeb mehrab membar Tamam ahl-e-makkah ko hamrah le kar |
Gaya ek din hasb-e-farman dawar Suye dasht aur chadh ke koh-e-safa par Ye farmaya sabse ke ae aal-e-halib Samajhte ho tum mujhko sadiq ke qazib |
Kaha sab ne qaul aj tak koi tera Kabhi hamne jhuta suna aur na dekha Kaha gar samjhte ho tum mujhko aisa To bawar karoge agar main kahunga |
Ke fauj-e-giran pusht kohe safa par Padi hai ke loote tumhe ghat pa kar Kaha teri har bat ka yun yaqin hai Ke bachpan se sadiq hai tu aur ameen hai |
Kaha agar meri baat ye dilnashin hai To sunlo khilaf isme islah nahin hai Ke sab kafila hai yahan se jane wala Daro us se jo waqt hai ane wala |
Balaghul Ula Bi Kamalihi Kashafaduja Bi Jamalihi Hasunat Jameeu Khisalihii Sallo Alaihi Wa Aalihi |