Back to: محمد اویس رضا قادری کی نعتیں
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho, Shaadiye Deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Bhool Jaun Naza’Ki Takleef Ko, Shaadiye Deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aaey Sakht Raat, Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Garmi-E-Mahshar Seh Jub Bharke Badan, Daaman-E-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Nama-E-A’maal Jub Khulne Lagay, Aib-E-Pooshe Khalq Sat’taare Khata Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Rang Laayein Jab Meri Be Baaqiyaan, Unki Neechi Nichi Nazroon Ki Hayaa Ka Saatho Ho. |
Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Say, Saahib-E-Kauthar Sha’e Jood-O-Ataa Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate, Aftaab-E-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare, “Rabbe Sallim” Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jo Dua’e Nek Hum Tujhe Se Kare, Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab’bana Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-E-Giraa Se Sar Uthaa’e, Daulat-E-Bedaar Ishk-E-Mustafa Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Sard-E-Mehri Par Ho Jab Khurshid-E-Hashr, Sayyad-E-Besaaya Ke Zille-E-Liwaa Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Jub Pare Mahshar Mein Shore Daar-O-Geer, Aman Denay Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho |
Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-E-Jurm Me, Un Tabassum Rez-E-Honto Ki Dua Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-E-Bejaa Rulaaye, Chashme Giryaane Shafi-E-Murtaja Ka Saath Ho. |
Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me, Ghause-E-Azam Peshwa’e Awliya Ka Saath Ho. |