Back to: Naats Starting With Letter (Y)
Ya Mustafa ata ho phir izn hazri ka Karloon nazaraha aakar phir aapki gali ka |
Eik bar phir dikha do Ramzan mein Madina Beshak banalo Aaqa mehman do ghari ka. |
Rota huwa phir aaon daagh e jigar dikhaoon Afsana bhi sunaoon main apni baykasi ka. |
Phir Sabz, Sabz gumbad ki dekhloon baharein Ab izn day do Aaqa phir mujh ko hazri ka. |
Ya Mustafa! gunahoon ki aadatein nikal jayein Jazbah mujhay aata ho Sunnat ki pairwi ka. |
Dil say ghuroor niklay, bahray Huzoor niklay Ya Rab! mujhay bana day paikar Tu aajzi ka. |
Allah! hub-e-duniya say Tu mujhay bachana Sa’il houn Ya Khuda main Ishq e Muhammadi ka. |
Iman pay Rab e Rehmat day day Tu isteqamat Deta houn wasta main Tujh ko Teray Nabi ka. |
Ulfat ki bheek day do! deta houn wasta mein Siddiq ka Umar ka, Usman ka Ali ka. |
Duniya kay tajdaro! tum say mujhay gharz kiya! Mangta hoon main to mangta Sarkar ki gali ka. |
Meezaan pay sabh khar’ay hain amaal tul rahay hain Rakhlo bharam Khudara! Attar e Qadri ka |