Back to: Naats Starting With Letter (Y)
Ya Rab meri soyi huyi taqdeer jaga day Aankhein mujhay di hain to Madina bhi dikha de. |
Sun nay ki jo quwat mujhe bakhshi hai Khuda wand Phir Masjid e Nabawi ki azanein bhi suna day. |
Huroon ki na ghilman ki na jannat ki talab hai madfan mera Sarkar ki basti main bana de.. |
Mudat say mein inn hathoon say karta hoon duaein In hathon main ab jali sunehri bhi thama day |
Moun hasher mein mujhko na chupana parhay ya Rab Mujh ko Teray Mehboob key chadar mein chupa dei. |
Ishrat ko bhi ab khushbu e Hassan aata kar Jo lafz kahay hein unhein Tu tu naat bana dey. |