Back to: Naats Starting With Letter (Y)
ya rasoolallah karam ya habiballah karam yahi aarzoo jo hosukhrru mile dojahan ki aabaru main kahu gulaam hu aapka wo kahe ke hum ko qubool hai ya rasoolallah karam ya habiballah karam |
kabhi khwaja me teri did ho teri did ho meri id ho muje apne ishq ki bhik de tere dar pe daman fela diya ya rasoolallah karam ya habiballah karam |
wo khuda nahi ba-khuda nahi wo magar khuda se juda nahi wo hain kya magar wo hai kya nahi ye muhib habib ki baat hai ya rasoolallah karam ya habiballah karam |
jise chaha darpe bula liya jise chaha apna bana liya ye bare karam ke hain fesale ye bare nasib ki baat hai ya rasoolallah karam ya habiballah karam |
na kisi ke ashk pe tanz kar na kisi ke gam ka mazak ura jis chahe jaise nawaz de ye mijaze ishke rasool hai ya rasoolallah karam ya habiballah karam (saw) |
tuje naaz huro kusur par muje naaz zikre rasool par teri khuld kaisi hai tu bata meri khuld kue rasool hai ya rasoolallah karam ya habiballah karam |