Back to: Naats Starting With Letter (Y)
Yaad me jiski nahi hoshe tano jaan hum ko Phir dikhade woh rukh aye mehre faroza hum ko |
Der se aap mein aana nahi milta hain humein Kya hi khud-rafta kiya jalwaye janaan hum ko |
Jis tabassum ne gulistaan pe girayi bijli Phir dikhade woh adaaye gule khandan hum ko |
Jab se aankhon me samayi hai Madine ke bahaar Nazar aate hain khazaan deeda gulistaan hum ko |
Kaash aaweezaye kindeele Madina ho woh dil Jis ki sozish ne kiya rashke charaaga hum ko |
Arsh jis khoobiye raftaar ka paamaal hua Do qadam chal ke dikha sarve khiraamaan hum ko |
Shamaye Taiba se main parwana rahoon kab tak door Haan jala de sha-rare aatishe pinha! hum ko |
Khauf hai sam’a kharashiye sage Taiba ka Warna kya yaad nahin naa-la o afgaan hum ko |
Khaak ho jaayen dare paak pe hasrat mit jaaye Ya Ilahi na fira be saro saamaan hum ko |
Khaare sahraaye Madina na nikal jaaye kahin Wahshate dil na fira koho bayaabaan hum ko |
Tang aaye hain do aalam teri betaabi se Chain lene de tape seenaye sozaan hum ko |
Paaun girbaal huye raahe Madina na mili Aye junoon! Ab to mile rukhsate zindaan hum ko |
Mere har zakhme jigar se ye nikalti hai sada Aye Maleehe Arabi! Karde namakdaan hum ko |
Saire gulshan se aseerane qafas ko kya kaam Na de takleefe chaman bulbule bustaan hum ko |
Gar labe paak se iqraare shafa’at ho jaaye Yun na bechain rakhe joshishe isyaan hum ko |
Nayyare hashr ne ik aag laga rakhi hai! Tez hai dhoop mile saaya e daamaan hum ko |
Reham farmaiye ya Shah ki ab taab nahin Tabake khoon rulaye ghame hijraan hum ko |
Chaake daamaan mein na thak jaaiyo aye daste junoon Purze karna hai abhi jebon gharibaan hum ko |
Parda us chehraye anwar se utha kar ik baar Apna aaina bana aye mahe taabaan hum ko |
Aye Raza wasfe rukhe paak sunane ke liye Nazr dete hain chaman! murge ghazal khwaan hum ko |