Back to: Naats Starting With Letter ( Z )
Zairo paas-e-adab rakhho hawas jaane do, Aankhein andhi huwi hain unnko taras jaane do. |
Sookhi jaati hay ummeed-e-gurba ki kheti, Boondiya lakka-e-rehmat ki barras jaane do. |
Palti aati hay abhi wajd mein jaane sheereen, Naghma-e-qum ka zara kaano mein ras jaane do. |
Hum bhi chaltay hay zara kaafile waalo thehro, Gathriyaan tosh-e-ummeed ki kas jaane do. |
Deed-e-gul aur bhi karti hay qiyamat dil par, Hum-safeero humein phir sue qafas jaane do. |
Aatish-e-dil bhi to bharkaawo adab daa(n) naalo, Kaun kehta hay ki turn zabte nafs jaane do. |
yoon tane zaar key dar pe huwe dil key sho’lo, Shewa-e-khaanah bar andaziye khas jaane do. |
Aay RAZA aah ki yoon sahl katein jurm key saal, Do ghari ki bhi ibadat to baras jaane do |