Back to: Naats Starting With Letter ( Z )
Zamana Haj ka hai jalwa diya hai shahide gul ko Ilahi taaqate parwaaz de parhaye bulbul ko |
Bahare aayi joban par ghira hai abr rehmat ka Labe mushtaaq bheege(n) de ijazat saaqiya mul ko |
Mile lab se woh mushqee(n) mohr wali dam mein dam aaye Tapak sun kar qume Isaa kahu masti mein qulqul ko |
Machal jaau sawaale mudda’aa par thaam kar daaman Behekne ka bahana paau qasde be ta-ammul ko |
Dua kar bakhte khufta jaag hungame ijaabat hai Hataya subhe rukh se shah ne shab-haaye kaakul ko |
Zabane falsafi se amn kharqo iltiyaam asara Panahe daure rehmat haaye yak saa-at tasalsul ko |
Do shamba Mustafa ka Jum’aye aadam se behtar hai Sikhana kya lihaaze haisiyat khoo e ta’ammul ko |
Wufoore shaane rehmat ke sabab jur’at hai aye pyare Na rakh bahare khuda sharminda arze be ta-ammul ko |
Pareshani mein naam unka dile sad chaak se nikla Ijaabat shana karne aayi gesuye tawassul ko |
RAZA nuh sabzaye gardoo(n) hain kotal jiske maukib ke Koi kya likh sake uski sawari ke tajammul ko |