Back to: Naats Starting With Letter ( Z )
Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye Akbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye. |
Lakh sajde kiye jaye, phir bhi bakhsish na ho paye gi Yeh Muhammad ka farman hai, in kay ghar say wafa kijiye. |
Mar bhi jayein to martay nahin, hum to kasrat say darte nahin Kufr hai agar wilaye Ali, hum ko kafir kaha kijiye. |
Dar pay aa ker yeh Shabir kay, aik rahib nay ki iltaja Main sawali houn Shah e Zaman, mujko baitay aata kijiye. |
Bughz e Haider hai bugz e Nabi, yeh najasat hai sab say bari Jo Ali say adawat rakhay, dur us say raha kijiye. |
Do fariqain main aik hi, haq pay hota hai aie dosto Koun Jang e Jamal main magar, haq pay tha faisla kijiye. |
Ya Ali mukhtar hain, anbiya ke madad gar hain Jitnay momin hain uqda kusha, unki hajat rawan kijiye. |
Aal e Ahmed kay zakir muhib, zikr ghairoon ka kertay nahin App shayer hain Imran ke, maqabat he likha kijiye. |
Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye Aaqbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye. |